Love hurts

Why does love hurt

Why love doesn’t know what’s real or not

Why love hurts a lot

Why love felt awesome when I first saw you and now it started scarring you with the wounds I have given you without me knowing

Why love can’t even understand what’s happening

Why love can’t elaborate what’s happening

Why love who was boundless now is fearing boundaries

Why love doesn’t feel safe

Why love gives a feeling of darkness within

Why love which used to be showered from the eyes has become difficult to be exposed from the lips

Why love is not making sense

Why love which was easy is now trying to be difficult

Why love which was almost a part of me seems to be different from me

Love was powerful, love became ruthless.

Rishta

Gawaar ho tum jo aankho dekh kr bhi unme jo chipa h vah padh na sake…

Agyaat ho tum jo ek ladki k mann ka haal na jaan sake…

Ek din sab chor kr chale hi jana h sabko, main bhi yahi hu tum bhi yahi ho, bas koi pehle aur kisi ko baad me jana h…

Tumne dil ka haal na poocha bas aate hi fatkaarne lage, bas in aansoon ka hisaab lene lage…

Bol dia tod di tumne shadi, agar yu tooti to kya hote saat vachan aur phere…

Tumne dil ki baat keh di jab bole tum chor k jaane ki baat, bas yahi to chahta tha dil anjaan bas himmat ne kr di sath chorne ki baat…

Aaj kia h tumne mujhe mere mata pita se door, ayega vo waqt jab tum mata pita ka pyaar na hoga tumko naseeb…

Hotho ne sab baatein chupa di aankhon ko ye hunar kabhi aya hi nhi…

tumne aaj fir dhutkara h mujhe… aeyga ek din jab hath jhatakne me samay na vyateet karenge ham bhi…

Aeyga ek waqt jab sarh chorne pr waqt nahi lagega hame…

na jaane kisne tumhe pati banaya h…. tum to bas ek naujawaan ladke hi theek the… pati ka hunar abhi baki h tumme…

Ye rishta h bada

झूठी मुस्कान मुस्कुराते
पूरी उम्र कट जाएगी
महफ़िल की आड़ में
तन्हाई कहीं छुप जाएगी।

Kya h Mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… kabhi lagta h ki ye h mohabbat…

Kabhi lagta h ki vo h mohabbat… par samjh nahi ata ki kya h mohhabat…

Kabhi bechani saanson ko gher leti h, kabhi aankhon se chalakta aansu hotho ki hasi cheen leta h… shayad ye hi mohabbat…shayad ye hi h mohabbat..

Kabhi lagta h ki dil ki ek khwahish h mohabbat kabhi lagta h ki dimaag ki upaj h mohabbat… Fir lagta h ki sab bekaar h mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… mohabbat… mohabbat…

Kabhi lagta h ki naino ki khata h mohabbat… kabhi lgta h ki naino ki tamanna h mohabbat…Kabhi uske uljhe baalo se h mohabbat… kabhi uske hothon ki hasi se h mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… mohabbat… mohabbat…

Kabhi maa baap ki yaad se h mohabbat…. kabhi premika ka intezaar h mohabbat…

Bas aaj koi to bata de ki kya h mohabbat… aakhir kya h ye mohabbat…

Aaj pehli baar milna tha tumse…

Aaj laga ki kuch der hi sahi zara tham jau… pr fir bhi aaj apni pasandida poshaq me taiyaar thi main… das baar socha ki kya pehenu ki tumhe bhaa jau fir laga ki tumhe to jaesi hu vaesi hi pasand hu to kya sajna-savarna fir bhi aankhon me kajal laga kr kaano me baaliyan daal kr nikal padi main… hatho me mera purse tha aur pairo me payal ye bhi na socha ki local train ki auntiyaan kya sochengi jab meri payal ki awaz jaeygi unke kaano tak…

Meri maa ki saari h ye jo aaj main tumhare lia pehen kr aarahi hu… dil ne baar baar bola tham jao ladki, par main nhi maani apna chata le kr ravana ho gayi local pakadne. Jab bahar nikali to laga ki aasmaan bhi mere sath bhut khush h aaj… dekhna chahta h vo aaj hamara milan…

Hosh na tha mujhe aaj waqt ka pata na chala bas tumhe pehli baar dekhne ki tamanna ne bavra bana dia tha mujhe.. tumhare lia kheer banai h maine… tumhe pasand h na. Aaj ye bechaini jo dil me uthi h vo itni halchal si macha rahi h mere hriday me… yakeen sa na ho raha h ki tumse aaj bas aaj akhir aaj milungi main… mera intezaar khatam hone vala tha aaj.

Pahuch gayi main us CCD me jaha tumne mujhse milne ko kaha tha, aakhon me sharam aur hotho pr hasi ne jaese mere andar ki sundarta ko aaj nikhaar sa dia tha…

Waiter ne kaha “madam aap akeli h?”, maine kaha nhi “table for two”, aur baith kr intezaar krne lagi besabari se… apne dil ka ye chehra maine apne andar pehle na dekha tha.

Baar baar ghadi ki taraf dekhti rahi ki aaj hi vo taareekh h na jab tumhe mujhe milne bulaya tha… pagal si ho gayi thi main… tumhe jo dikh raha tha bas vo chor k tumhe dekh rahi thi apne khayalon me… sach batau vaha se hilne ka mann na kr raha tha…dil kahi aur dimaag kahi aur aese lag raha tha zindagi mera aaj hi intehaan le rahi thi…

Kisi din tumhe mil sara sach bataungi bas ek baar ajao, tumhe dekh lu tumhe chu lu… tumahri vajah se aaj vo ladki fir se saasein le rahi thi ise maine kahi pehle hi dafan kr diya tha…

Tumse baat kr huye aaj mujhe do saal ho gaye h fir bhi har saal ki tarah aaj bhi ayi hu tumhe dekhne k intezaar me.

Par nahi aye tum…

Aaj bhir aakh me kuch nami si h.. aaj fir sote waqt takiyaa bheeg gaya mere aansuo se to tum yaad aye… tumhe yaad krte krte jab mere zameer ne awaaz lagayi ki yaad h jab tum mujhe dhutkar dete the aur main vaha se rote rote chali jaati thi fir bhi ye umeed thi mere dil me ki shayad tum mujhe manane aaoge… Par nahi aye tum…

Jab darwaaze ki ghanti bajti to dil is baat se chehek uthta tha ki shayad tum ho aur ye soch kr darwaaze ki taraf bhagti main ki aaj tumhe fir se unhi nazaroon se dekh paungi tumhe jisse tumhe jate dekha tha… mera dil aaj bhi yahi tatolta rehta ki aaoge tum… aaoge tum… Par nhi aye tum…

Aaj jab ghar se nikali to zor se aandhi arahi thi pr laga ki mere mann ki aandhi se to kam hi ye kudrat ki laayi hui dein.. tum kaese bhul gaye mujhe, kaese bhul gaye ki aaj bhi main tera intezaar krti hu roz subah uth kr tere didaar k lia mera dil bechain ho jata h.. aaj laga meri awaaz sun pa rahe ho tum pr jawab nahi de rahe… laga aaj to aaoge tum… Par nahi aye tum…

Tumhe gaye hua aaj teen saal ho chale h… fir bhi har subah lagta h ki aaj to aaoge tum… Par aaj fir nahi aye tum…

Fir bhi manaungi main aaj tera shraad har saal ki tarah aur khud ko fir se samjhaungi ki ek din aaoge tum.. shayad fir aaoge tum…

Aaj subah se kuch halchal si h…

Aaj subah uthi to yaad agaya ki kal chala gaya tha vo mujhe chor kr… tumhare pairo ko maine apne aansuo se raat bhar dhoya h, par nhi bheega tumhara mann mere us ek aansu se bhi…

Mera astitva tha tumse aur meri khushi thi tumse, pr ehsaas na hua tumhe mere us pyaar ka… dekh nahi paye tum mere hriday ki kampan ko… meri saans phoolna aur maathe pr yuhi paseena ajana shayad kuch nhi tha tumhare lia pr mere lia meri dhabrahat ka karan the tum…

Jab taras kar aaj naino ne bhi ehsaas se rukh mod dia h tab bhi tumhe lagta raha ki mera shareer h tumhara… tumje paane ki umeed k sahara kaat dia maine apna jeevan aaj jab mud kr dekh paati hu main tumko us swapn me… dikkarta h mera atma samman mujhe…

Dosh na dungi main tumko tumhare kisi nirnay ka.. ye jo hona tha likha h vo to hokr hi rahega.

Ab na aungi main vapas aur na dekhungi tumhe ab…aaj is adhyay ko khatam kr maine dia h… apni durbal stithi pr taras khana maine chor dia h.

Aaj Jab ghar pahuchi…

Aaj bhi darwaze pr kundi nhi lagi thi, pata nhi kitna waqt lagega ye adat sudharne me, andar aayi to ek ajeeb si mehek thi ghar me shayad kuch khana banaya gaya h kuch der pehle.

Apne kamre ki tarah jate hue fridge ki taraf aankh gayi to kal ka pizza fridge k upar tha, pata nhi kitna waqt lag jaeyga mujhe ye samjhane me ki fridge pr samaan mat rakha kro…

Meri baaliyan bed ki usi side table pr rakhi hui thi jaha chor k gayi thi main. Shayad kaam vali k lia darwaza nhi khola hoga aaj inhone. Press usi table pr rakhi h kya aaj shirt press nhi kri… late ho raha hoga. Meri saari vahi bed pr padi h shayad meri yaad ayi hoi unhe… ya shayad doosre kamare me so gaye hoenge TV dekhte dekhte…

Mera vo note ki mooze left shelf pr h… abhi bhi vahi h, na jaane padha bhi h ya nahi. Bola tha aaj jaldi ana… pata nhi aenge ya nahi pr main intezaar karungi.

Unka favorite daal makhani banaungi aaj… khush ho jaenge vo.

Darvaaze ki ghanti baji aur main bhagte huye kholne gayi ki gaurd sahab ne bola “kal jo madam ayi thi unka purse parking me reh gaya tha.”

Ghar se nikalte hi…

Aaj jab ghar se nikali to mehsoos hua ki ab ghar kab aaungi kuch pata nhi h… roz marrah ki zindagi ne mujhe meri maa se kahi door bhej dia h… mujhe pata h ki palat kr dekhungi to vo roengi isliye mudungi nhi chup chap aaj papa ki scooty pr sawar apni ataichii hath me le kr baith jaungi pr mudungi nhi..

Maa bolti h shadi kr le… na jaane usme vo himmat kaese aeygi jab vo mujhe Vida hote dekhegi, bolti h bhut mazboot dil h uska, par main janti hu rok na paeygi vo khud ko mujhe ghar se vida hote dekh…

Papa raste bhar kuch na bole bas scooty ki awaz aur traffic ne us khamoshi ko poora kia. Jab metro station pahuchi airport jaane k lia to papa ko gale lagaya aur pata na chalne dia unhe ki unki peeche vali seat pr baith kr raste bhar royi thi main… Metro station ki taraf badhte huye baar baar palat kr papa ko dekha ye soch kr ki veh ghar ja kr kya krenge…

Rote rote main nikal gayi… tab tak station se jhaakti rahi jab tak vo chale na gaye.. fir dobara yahi kahani dohrane k lia…

Aaj jab daftar gayi…

Aaj vahi duppatta dala h maine jo usne mujhe lakr dia tha.. neeche ki us bazaar se mujhse pasand karvaya tha. Aaj jab office aayi to uski ek jalak dekhne ko uski seat se baar baar guzar rahi thi.

Pata nhi kya ho gaya h use kuch dino kuch ukhda ukhda rehta h, aaj gajar ka hawla apne hatho se bana kr layi hu uske lia, shayad narazgi door ho jaeygi uski. Kuch bhi ho jaye main aaj to baat krungi hi ki hua kya use aakhir.. peechle 3 dino se baat hi nhi kri mujhse. Office me bhi meri taraf nhi dekhta aur ab to khana bhi nhi khata mere sath.

Aaj to baat kr k rahungi main, maa mujhse roz poochti h ki ek ladke ka rishta aya h kya bolu uske ghar valo ko… mil le usse…pr main nhi milna chahti…

Pr aaj to saari baatein krungi main. Achanak se aaj Kiran aayi mere pass aur boli “mere sath chal baat krni h mujhe”, maine bola “ruk ja lunch k baad chalenge, pehle usse aaj baat krni h mujhe kuch”, mera hath pakad kr le gayi fir bhi vo mujhe aur bolna tha use kuch ki koi agaya vaha aur vo chup reh gayi.

Lunch time ka wait kr rahi thi ki achanak se kisi ne zor se bola uski taraf badhte huye “Bhai mubarak ho shadi apko, maaf krna kal aa nhi paya tumhari shadi me…”