Kya h Mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… kabhi lagta h ki ye h mohabbat…

Kabhi lagta h ki vo h mohabbat… par samjh nahi ata ki kya h mohhabat…

Kabhi bechani saanson ko gher leti h, kabhi aankhon se chalakta aansu hotho ki hasi cheen leta h… shayad ye hi mohabbat…shayad ye hi h mohabbat..

Kabhi lagta h ki dil ki ek khwahish h mohabbat kabhi lagta h ki dimaag ki upaj h mohabbat… Fir lagta h ki sab bekaar h mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… mohabbat… mohabbat…

Kabhi lagta h ki naino ki khata h mohabbat… kabhi lgta h ki naino ki tamanna h mohabbat…Kabhi uske uljhe baalo se h mohabbat… kabhi uske hothon ki hasi se h mohabbat…

Koi ye bata de ki kya h mohabbat… mohabbat… mohabbat…

Kabhi maa baap ki yaad se h mohabbat…. kabhi premika ka intezaar h mohabbat…

Bas aaj koi to bata de ki kya h mohabbat… aakhir kya h ye mohabbat…

Leave a comment